Gwadar ke chaar wards mein sewerage lines bichhane ki tayyariyan, Saifullah Hot ka mojooza maqamat ka daura
Gwadar: Nikasi-e-aab ke dirina masail ke hal aur shehri mahol ko behtar banane ke liye Local Government ki scheme ke tahat shehr ke chaar mukhtalif wards mein sewerage lines bichhane ki tayyariyan shuru kar di gayi hain.
Vice Chairman Municipal Corporation Gwadar Saifullah Hot ne Girls School Ward, Nagman Ward, Mujahid Ward aur Mir Lal Bakhsh Ward mein sewerage lines ki tansib ke liye mojooza maqamat ka daura kiya.
Unhon ne mukhtalif maqamat ka jaiza liya aur mutalliqa hukkam se mansoobon ke hawale se tafseeli maloomat hasil keen.
Sewerage lines ki tansib ke in mansoobon par bohat jald kaam shuru kiya jayega. Takmeel ke baad mutalliqa ilaqon mein nikasi-e-aab ke dirina masail hal karne aur shehri mahol ko behtar banane mein madad milne ki tawaqqo hai.
Mansoobon ka maqsad shehriyon ko darpesh mushkilat ka izala aur nikasi-e-aab ke nizam ko muassir banana hai.
Saifullah Hot ne mansoobon par jald amali pesh raft yaqeeni banane ki zaroorat par zor diya taake awam ko relief faraham kiya ja sake.
Muaine ke dauran Local Government ke surveyor Sultan, Environment A.D.G. D.A. Yahya Wadela aur councillor Haji Javed bhi un ke hamrah mojood the.











