رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar: Girls High School Shambe Ismail mein chhe rozah Crochet Craft workshop ikhtitam pazir, talibaat mein certificates taqseem

Gwadar: Girls High School Shambe Ismail mein chhe rozah Crochet Craft workshop ikhtitam pazir, talibaat mein certificates taqseem
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Soobai hukumat ki Taleem dost policy ke tahat talibaat ko miyari Taleem ke sath amli hunar se aarasta karne, un ki takhliqi salahiyaton ko nikharne aur khud rozgari ke mawaqe faraham karne ke silsile mein Government Girls High School Shambe Ismail mein mun’aqida chhe rozah Crochet Craft tarbiyati workshop ikhtitam pazir ho gayi.

Is mauqe par tarbiyat mukammal karne wali talibaat mein certificates taqseem kiye gaye jabke talibaat ki tayyar kardah Crochet masnoomat ki numaish bhi ki gayi, jise shurka ne saraha.

Ikhtitami taqreeb ke mehman-e-khusoosi District Education Officer Gwadar Wahab Majeed the. Unhon ne kaha ke Taleem ka maqsad sirf nisabi ilm faraham karna nahin balke talibaat ko amli zindagi ke taqazon se hum aahang karna aur unhein khudmukhtar banne ke mawaqe faraham karna bhi hai.

Unhon ne kaha ke aisi tarbiyati sargarmiyan talibaat mein khud etemadi, takhliqi salahiyaton aur hunarmandi ko farogh dene ke sath mustaqbil mein baizzat rozgar ke husool mein bhi moawin sabit hoti hain.

Taqreeb se school ki headmistress Bilquis Suleman, instructor Fatima, Muzammil, Saqar Nasir, Adil Nodzehi o digar ne khitab kiya. Un ka kehna tha ke workshop ka bunyadi maqsad talibaat ko riwayati Taleem ke sath hunarmand banana aur unhein apni salahiyaton ke zariye maashi khudmukhtari ki janib gamzan karna tha. Fanni tarbiyat ko taleemi sargarmiyon ka hissa banana waqt ki aham zaroorat hai, kyunke is se talibaat ko amli zindagi mein aage barhne ke behtar mawaqe mayassar aate hain.

Muqarrirein ne maroof karobari shakhsiyat o exporter Mir Farooq Kalmati ki taleemi, Sehat aur samaji shobon mein khidmaat ko sarahte hue kaha ke talibaat ke liye hunarmandi ki tarbiyati workshop ka inaqad un ke ehsas-e-zimmedari aur farogh-e-Taleem ke azm ka mazhar hai. Aise bamaqsad iqdamaat talibaat ki takhliqi salahiyaton ko jila bakhshne aur khud rozgari ke zariye maashi khudmukhtari ki raah hamwar karne mein aham kirdar ada karte hain.

Taqreeb ke ikhtitam par tarbiyat mukammal karne wali talibaat mein certificates taqseem kiye gaye.

Gwadar District Officer Education Wahab Majeed o digar Government Girls High School Shambe Ismail mein talibaat ki tayyar kardah Crochet Craft masnoomat ki numaish ka moaina kar rahe hain.
Gwadar District Officer Education Wahab Majeed o digar Government Girls High School Shambe Ismail mein talibaat ki tayyar kardah Crochet Craft masnoomat ki numaish ka moaina kar rahe hain.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: