Gwadar: DG GDA ka Young John Volleyball and Futsal Ground ka daura, Mir Kalmati Sports Festival ki tayyariyan

Gwadar: Director General Gwadar Development Authority Moin ur Rehman Khan ne Young John Volleyball and Futsal Ground ka daura kiya aur GDA ki jaanib se haal hi mein mukammal kiye gaye tameer o tauseeh aur tazeen o aarayish ke kaam ka jaiza liya.
Is mauqe par Project Director Old Town Bahali Mansooba Mir Dauda Khan Marri aur District Football Association ke sadr Mir Arshad Kalmati samet deegar bhi maujood the. Daure mein aainda do roz ke dauran munaqid hone wale Mir Kalmati Inter Educational Institute Sports Festival 2026 ki tayyariyon ka bhi jaiza liya gaya.
Bataya gaya ke ground mein kushada play areas, khilariyon aur shaiqeen ke liye nashistein, pavilion, lighting aur deegar bunyadi sahuliyat shamil hain.
Moin ur Rehman Khan ne kaha ke GDA is se qabl Senator Muhammad Ishaq Cricket Stadium, Baba Bizenjo Football Stadium aur Surgdil Football Ground ki tameer, tauseeh aur tazeen o aarayish ka jaame mansooba mukammal kar chuki hai. Unhon ne festival ke intezamat barwaqt mukammal karne ki hidayat ki aur kaha ke GDA Gwadar mein khelon ke farogh ke liye iqdamat jaari rakhegi.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











