رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

DIG Zhob Range Sohail Khalid ka zila Chaman ka daura, thanon ka muaina aur Aman o Aman par briefing

DIG Zhob Range Sohail Khalid ka zila Chaman ka daura, thanon ka muaina aur Aman o Aman par briefing
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Chaman: Deputy Inspector General (DIG) police Zhob Range Sohail Khalid ne zila Chaman ka daura kiya. Unhon ne police thana Zharah Band aur City thana Chaman ka muaina karte hue record, security intezamat aur police ki mujmui karkardagi ka jaiza liya aur officers wa ahlkaron ko zaroori hidayat din.

Baad azan SP office Chaman mein police ke chaq o chauband dastay ne DIG ko Guard of Honour pesh kiya. SP Chaman Aitzaz Arif ne zila ki mujmui Aman o Aman ki surat-e-haal, jabke District Officer CTD ne insidad-e-Dehshatgardi, intelligence based operations (IBOs) aur jari karrawaiyon par tafseeli briefing di.

Ijlas mein Deputy Commissioner Chaman Habib Ahmed Bangulzai, ADC Chaman Fida Baloch, District Officer CTD aur incharge Special Branch bhi shareek the. DIG Sohail Khalid ne briefings par itminan zahir karte hue Aman o Aman ke mazeed istehkam, jaraim ki muassir rok tham, police ki karkardagi mein behtri aur Dehshatgardi ke khilaf karrawaiyan mazeed muassir banane ki hidayat jari kin.

Tasweer: Bashukriya DG PR Balochistan