DHO Barkhan Dr Mehr Din Khetran ka BHU Aishani ka achanak daura, amle ki hazri check ki

Barkhan: District Health Officer Barkhan Dr Mehr Din Khetran ne bunyadi markaz Sehat (BHU) Aishani ka achanak daura kiya, jahan unhon ne amle ki hazri, mareezon ko faraham ki jane wali tibbi sahuliyat aur deegar intizami umoor ka tafseeli jaiza liya.
Is mauqe par DHO ne amle ko hidayat ki ke woh apni duty bakaidagi, zimmedari aur ahsan andaz mein anjam dein aur awam ko barwaqt o behtar tibbi sahuliyat ki faraahmi har surat yaqeeni banayen.
Dr Mehr Din Khetran ne kaha ke bunyadi marakiz Sehat ki karkardagi behtar banane, amle ki hazri yaqeeni banane aur awam ko miyari tibbi sahuliyat ki faraahmi par khusoosi tawajjuh di ja rahi hai.
Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan











