رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Dera Bugti

Dera Bugti mein Youm-e-Difa Pakistan par zilai intizamia ke zere ehtimam mukhtalif maqamat par rallyan

Dera Bugti mein Youm-e-Difa Pakistan par zilai intizamia ke zere ehtimam mukhtalif maqamat par rallyan
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Dera Bugti: Youm-e-Difa Pakistan ke moqe par zila Dera Bugti mein zilai intizamia ke zere ehtimam mukhtalif maqamat par rallyan nikali gayin jin ka maqsad watan se mohabbat, shuhada o ghaziyon ko khiraj-e-aqeedat aur qaumi yakjehti ka izhar tha.

Rallyon mein zilai intizamia, police, sarkari mehkamon ke officers o ahlkaron, taleemi idaron ke numainda, talba, samaji tanzeemon, qabaili umaidin aur shehriyon ne shirkat ki. Shurka ne qaumi parcham utha kar Pakistan ki salamati aur Afwaj-e-Pakistan se yakjehti ke naare lagaye.

Muqarrirein ne kaha ke 6 September qaum ke ghair mutazalzil azm, ittehad aur lazawal qurbaniyon ki yaad dilata hai. Rallyon ke ikhtitam par mulk ki salamati, taraqqi o khushhali aur shuhada ke buland darjat ke liye duaen ki gayin.

Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan