رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Chairman Gwadar Port ka Teaching Hospital Gwadar ka daura, Thalassemia Center ko do air conditioners dene ki hidayat

Chairman Gwadar Port ka Teaching Hospital Gwadar ka daura, Thalassemia Center ko do air conditioners dene ki hidayat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Chairman Gwadar Port Noor-ul-Haq Baloch ne Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital Gwadar ka daura kiya, jahan Medical Superintendent Dr Abdul Hafeez Baloch aur hospital ke deegar amle ne un ka istaqbal kiya. Unhon ne hospital ke mukhtalif shobon ka muayena karte hue mareezon ko faraham ki jane wali tibbi sahuliyat aur ilaj mualje ki surat-e-haal ka jaiza liya.

Chairman Gwadar Port ne dialysis center ka tafseeli muayena kiya aur wahan dastiyab sahuliyat, machinery aur mareezon ko darpesh mushkilat ke baare mein maloomat hasil keen. Unhon ne zer-e-ilaj mareezon ki iyadat ki aur center ki zarooriyat poori karne ke liye zaroori machinery aur tibbi aalat ki fori faraahmi ki hidayat ki.

Noor-ul-Haq Baloch ne hospital ke Thalassemia center ka bhi daura kiya aur Gwadar Port Authority ki jaanib se center ke liye do air conditioners fori taur par faraham aur nasb karne ki hidayat ki.

Unhon ne kaha ke dialysis aur Thalassemia Centers mein mareezon ke ilaj ka silsila kisi soorat mutasir nahin hona chahiye, aur MS Dr Abdul Hafeez Baloch ko hidayat ki ke dono marakiz ke liye darkar machinery, tibbi aalat aur deegar saman ki mukammal fehrist fori faraham ki jaye taake sahuliyat ki faraahmi mein takheer na ho. Unhon ne kaha ke hospital ki zarooriyat aur masail ke hal ke liye mutaliqa hukkam se fori rabta kiya jaye ga aur Gwadar ke awam ko miyari aur ba-waqt tibbi sahuliyat ki faraahmi ke liye tamam mumkina wasail burue kaar laye jayenge.

Gwadar: Chairman Gwadar Port Noor-ul-Haq Baloch Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital ke mukhtalif shobajat ka muayena kar rahe hain
Gwadar: Chairman Gwadar Port Noor-ul-Haq Baloch Mir Abdul Ghafoor Kalmati Teaching Hospital ke mukhtalif shobajat ka muayena kar rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan