رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Chagai mein Afghan muhajireen ki marhala war ba-izzat watan wapsi jari, Deputy Commissioner Ataul Munim ki nigrani mein intezamat

Chagai: Hukumat-e-Pakistan aur hukumat-e-Balochistan ke mushtarka faisle ke tahat Afghan muhajireen ki ba-izzat aur marhala war watan wapsi ka amal jari hai. Zila Chagai ke mukhtalif ilaqon se ghair qanooni tor par muqeem Afghan muhajireen ko mukammal izzat o ehtaram ke sath Afghanistan rawana kiya ja raha hai.

Zila intezamia Chagai ne mukhtalif suhuliyat ka intezam kiya hai taake muhajireen ko kisi qisam ki pareshani ka samna na ho. Deputy Commissioner Chagai Ataul Munim ki nigrani mein yeh amal intehai munazzam andaz se jari hai. Muhajireen ki arzi rihaish, khane peene, tibbi imdad aur deegar bunyadi zarooriyat ki faraahmi yaqeeni banane ke liye khusoosi iqdamat kiye gaye hain.

Deputy Commissioner Ataul Munim ne bataya ke Afghan muhajireen ko mukammal insani hamdardi aur Islami bhai chare ke tahat un ke watan rawana kiya ja raha hai aur har fard ke sath izzat o ehtaram ka rawaiya apnaya ja raha hai. Un ke mutabiq arzi qiyam gahon, khane peene ki ashya, tibbi suhuliyat aur naql o hamal ke intezamat ko foolproof banaya gaya hai.

Unhon ne kaha ke hukumat ki hidayat par amal karte hue hum chahte hain ke yeh amal puramn aur khush uslubi se mukammal ho. Maqami intezamia, Levies, police aur deegar idare is amal ko khush uslubi se mukammal karne ke liye din raat kaam kar rahe hain.

Ataul Munim ne maqami awam se appeal ki ke woh intezamia se taawun karen taake is amal mein kisi qisam ki rukawat paida na ho.

Zila satah par qaim transit camp mein rozana ki bunyad par saikron muhajireen ko suhuliyat di ja rahi hain aur un ki ba-izzat wapsi ko mumkin banaya ja raha hai.