Sindh mein rawan saal malaria ke 90 hazar 853 cases report

Mehkama-e-Sehat Sindh ke mutabiq Karachi mein malaria ke 772 cases report hue jin mein sab se zyada zila Malir se 249 cases samne aaye, zila Janubi se malaria ke 164, Gharbi se 140 cases report hue.
Zila Korangi se malaria ke 135, zila Wasti se 36, zila Sharqi se 34 aur zila Keamari se 14 cases samne aaye.
Mehkama-e-Sehat Sindh ke mutabiq Hyderabad division mein malaria ke 35 hazar 94, Sukkur se 9 hazar 949 aur Larkana se 27 hazar 57 case report hue.
Mir Pur Khas se malaria ke 7 hazar 781 aur Shaheed Benazirabad se 10 hazar 200 case report hue hain.











