رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Seerat-e-Muhammadi (SAW) ko apni infiradi aur ijtimai zindagi ka hissa banana hoga, Maryam Nawaz

Seerat-e-Muhammadi (SAW) ko apni infiradi aur ijtimai zindagi ka hissa banana hoga, Maryam Nawaz

Wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz Sharif ne Eid Milad un Nabi (SAW) ke babarkat mauqe par Sarwar-e-Kainat Hazrat Muhammad Mustafa (SAW) ki bargah-e-aqdas mein durood o salam pesh karte hue poori Ummat-e-Muslima ke liye is mubarak din ko saadat aur shukrguzari ka mauqa qarar diya hai.

Apne paigham mein Wazir-e-aala Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke Fakhr-e-Mojudat Hazrat Muhammad (SAW) ki wiladat-e-basaadat ki mubarak saatein maisar aana har Musalman ke liye azeem saadat hai, unhon ne aqeedat ka izhar karte hue kaha: Aap (SAW) Fakhr-e-Mojudat, Aap (SAW) Rahbar-e-Kainat, Aap (SAW) par durood o salam.

Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke Eid Milad un Nabi (SAW) ki mubarak saatein har Musalman ke liye saadat hain, Aap (SAW) ki wiladat-e-basaadat se kainat ka zarra zarra mehak utha aur alam-e-insaniyat ko Allah Kareem ki janib se sab se bara inaam ata hua.

Wazir-e-aala ne kaha ke Hazrat Muhammad (SAW) yatimon ka sahara aur donon jahanon ke liye rehmat ban kar tashreef laye, Aap (SAW) ne muashre ke kamzor tabaqat ko izzat aur waqar ata kiya jabke mazlumon, ghulamon aur betiyon ko jeene ka hausla aur baizzat maqam ata hua.

Unhon ne kaha ke Nabi Kareem (SAW) ki wiladat-e-basaadat ne muashre mein phaili khurafat ke buton ko gira diya aur dilon mein tauheed ki shama roshan ki, Aap (SAW) ki taleemat ne insaniyat ko adl, reham, masawat aur ehtram-e-insaniyat ka rasta dikhaya.

Maryam Nawaz Sharif ne kaha ke Seerat-e-Nabawi (SAW) ki ittiba duniya o akhirat mein kamyabi ki nawid hai, Nabi Kareem (SAW) se mohabbat ka haqiqi taqaza yahi hai ke Aap (SAW) ki Seerat-e-Tayyaba ko apni infiradi aur ijtimai zindagi ka hissa banaya jaye.

Wazir-e-aala Punjab ne Eid Milad un Nabi (SAW) ke mauqe par is azm ki zarurat par zor diya ke Musalman Nabi Kareem (SAW) ki taleemat aur Uswa-e-Hasana par bharpur amal karte hue muashre mein mohabbat, ukhuwat, rawadari, adl aur insaniyat ke farogh ke liye apna kirdar ada karein.