Salman Khan ne walidain ki shadi par nana ki naraazgi ki wajah bata di

Mumbai: Bollywood ke super star Salman Khan ne apne walid Salim Khan aur walida ki shadi ke moqe par nana ki naraazgi aur walidain ke jhagdon mein un ke kirdar ke bare mein pehli baar baat ki. Unhon ne ise logon ke liye zindagi ka ek sabaq qarar diya.
Reality show Bigg Boss mein guftagu karte hue Salman Khan ne kaha ke walidain ki shadi ke waqt mazhabi hawale se koi qadghan nahin thi, lekin un ke nana is baat par naraaz the ke ek khoobsurat aadmi adakaar banna chah raha hai aur beti ki shadi film industry mein ho rahi hai.
Un ke mutabiq nana ko sirf isi baat par aitraz tha, jabke walida ke behan bhai khush the aur walid ko pasand karte the. Nana ka khayal tha ke un ki beti is mahaul mein kaise rahegi.
Paanch saal baad nadamat
Salman Khan ne bataya ke un ke nana ne un ke walid se 5 saal tak baat nahin ki. Jab Sohail paida hue to woh jalebi ka ek dabba le kar Bandra ke ghar aaye aur nadamat zahir ki ke un se bohat badi ghalti hui, woh apne nawason ko bade hote nahin dekh paye aur ek achhe insan se baat karne ka moqa zaya kiya kyunke un ke dimagh mein kuch chal raha tha.
Un ka kehna tha ke nana ko marte dam tak yeh nadamat rahi ke unhon ne 5 saal zaya kar diye aur Salim Khan se baat nahin ki.
Jhagdon ka zikr
Walidain ke jhagdon ka zikr karte hue Salman Khan ne bataya ke ek aadh baar jab walidain ka jhagda hua aur walida maike gayin to nana ne unhein ghar mein dakhil hone ki ijazat nahin di. Unhon ne kaha ke apne ghar wapas chali jao, yeh tumhara ghar hai aur kabhi bhi aa sakti ho, lekin jhagda kar ke yahan nahin aogi.











