رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 8° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Quetta: Gawalmandi Chowk aur Haji Eibi Road par WASA ki karrwai, ghair qanooni water connections munqata, paanch karkhane seal

Quetta: Gawalmandi Chowk aur Haji Eibi Road par WASA ki karrwai, ghair qanooni water connections munqata, paanch karkhane seal
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Special Magistrate WASA Habib ur Rehman Kakar ne Gawalmandi Chowk aur Haji Eibi Road ke ilaqe mein ghair qanooni water connections ke khilaf karrwai karte hue muta’addid karkhanon ke ghair qanooni connections munqata kar diye, jabke khilaf warzi ke murtakib paanch karkhanon ko seal kar ke malikan ko notices bhi jari kar diye gaye.

Tafseelat ke mutabiq shehar mein ghair qanooni water connections ke khilaf WASA ki jari muhim ke silsile mein Special Magistrate ki sarbarahi mein Gawalmandi Chowk aur Haji Eibi Road par mukhtalif karkhanon aur sanati units ka mu’ayena kiya gaya. Karrwai ke dauran muta’addid maqamat par ghair qanooni tor par hasil kiye gaye connections ki nishandehi hui, jinhein fori tor par munqata kar diya gaya.

Is mauqe par zabton ki khilaf warzi karne wale paanch karkhane seal kiye gaye aur muta’alliqa malikan aur intezamia ko qanooni notices jari kiye gaye. WASA hukkam ne wazeh kiya ke pani ka ghair qanooni istemal aur ghair mujaz connections kisi surat qabil-e-qabool nahin aur aise anasir ke khilaf qanoon ke mutabiq karrwai jari rahegi.

Habib ur Rehman Kakar ne kaha ke tamam sanati o tijarati idare WASA ke qawanin aur zawabit ki pabandi karte hue qanooni tareeqa-e-kaar ke tahat pani ke connection hasil karein. Unhon ne tanbeeh ki ke ghair qanooni connections ke zariye pani ke husool ya istemal ki ijazat nahin di jaye gi aur khilaf warzi karne walon ke khilaf bila imtiaz karrwai amal mein layi jaye gi.

Hukkam ke mutabiq ghair qanooni connections ke khilaf karrwaiyon ka silsila mazeed tez kiya jaye ga taake pani ki munsifana aur qanooni bunyadon par faraahmi yaqeeni banayi ja sake.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: