Peshawar school sanha: FIR mein namzad afraad ki tadad 4 ho gayi, mulzimaan faraar

Peshawar: Peshawar school sanhe ke maamle mein darj FIR mein namzad afraad ki tadad 4 ho gayi hai.
Tafseelat ke mutabiq school malik ke sath mazeed chaar afraad ki giraftari ke liye chhapay mare ja rahe hain.
Tafteeshi team ke mutabiq namzad mulzimaan school malik ke partner the. Mulzimaan ghar chhor kar faraar ho gaye hain.
Muqadme mein Dehshatgardi ki dafaat shamil nahin ki gayin. Chaaron mulzimaan ki giraftari aur bayanat lene ke baad case aage barhega.
Wazeh rahe ke Dir Colony school sanhe mein teachers samet 35 bachche jaan bahaq hue.











