رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

KP ki surat-e-haal par sab gale tak bhar chuke, siyasi jamaatein aur kitna intezar karengi: Danyal Chaudhry

KP ki surat-e-haal par sab gale tak bhar chuke, siyasi jamaatein aur kitna intezar karengi: Danyal Chaudhry

Rawalpindi (Atemad Desk): Wafaqi parliamentary secretary bara-e-itelaat Barrister Danyal Chaudhry ne kaha hai ke Khyber Pakhtunkhwa ki surat-e-haal se sab ka paimana labrez ho chuka hai aur siyasi jamaaton ko tay karna hoga ke woh aur kitna intezar karengi, kyunke yeh silsila mazeed nahin chal sakta.

Rawalpindi Press Club mein press conference karte hue unhon ne kaha ke soobe mein Dehshatgardi ki lehar hai magar koi isse dekhne ko tayyar nahin; wazir-e-aala soobe ke chakkar laga rahe hain aur cabinet nachne mein masroof hai.

Unhon ne kaha ke 5 October ko DI Khan mein customs ke mulazimeen jaan se gaye magar koi un ke ghar tak na gaya; SHO Dawood aur constable Farhad shaheed hue magar wazir-e-aala KP ke sar par joon tak na rengi, aur shaheed ke bachche sawal kar rahe hain ke wazir-e-aala aur cabinet ke paas janaze mein shirkat ka waqt kyun na tha.

Barrister Danyal ne sawal kiya ke 15 saal mein Dehshatgardi ke khilaf policy banane se unhein kis ne roka tha, un ke log policy ke liye Afghanistan ki taraf dekhte hain aur soba aag ki lapet mein hai magar woh long march mein masroof hain.

Unhon ne kaha ke yeh nizam mazeed nahin chal sakta, ek lakeer khainchi jayegi jis par koi riayat nahin hogi; jo jamaat unhein dehshatgard kehne se darti hai woh un ka hissa hai aur jo un ke saath khadi hoti hai woh un ki B team hai.