AI Hub ka iftitah, Punjab ka aik unit ki tarah kaam karna hamari bari taqat hai: Maryam Nawaz

Wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz ne Punjab ke Artificial Intelligence Center ka iftitah karte hue kaha hai ke hukumat ne qanoon ki pasdari har tabqe par yaqeeni banane ki koshish ki, taham qanoon doosron par lagu ho to khushi hoti hai lekin khud amal-daramad karna mushkil mehsoos hota hai.
Maryam Nawaz ne kaha ke awam ko helmet ki pabandi ka aadi banana aik mushkil faisla tha, motorcycle sawaron ke sath hadsat pesh aayen to dukh hota hai. Jarayam pesha anasir ke khilaf karrawai par unhein tanqeed ka samna bhi karna parta hai, lekin tanqeed se bachne ke liye woh bhi aaram se baith sakti thin.
Un ka kehna tha ke bachon ke sath hirasani ke waqiat intehai afsosnak hain, aise waqiat dekh kar insaniyat se aitimad khatam ho jata hai.
Maryam Nawaz ne kaha ke mehfooz mahol faraham karna aasan kaam nahin, khud ko khatre mein daal kar mushkil faislay kiye hain. Aaj sab ki nazar Punjab par hai, soobe mein Aman o Aman behtar banane ke liye arbon rupay kharch kiye gaye.
Wazir-e-aala Punjab ke mutabiq dehshatgardon ke paas night vision camerasthe, hukumat ne apni police ko bhi night vision cameras faraham kiye jabke soobai sarhadon ko mehfooz banane ke liye check posts qayam ki gayin.
Maryam Nawaz ne kaha ke mazi mein kachay ke ilaqe se rahzani aur digar jarayam ke cases report hote the, taham aaj kachay ka ilaqa crime free hai aur wahan riyasat ki writ qayam ho chuki hai.











